Taskeen Dehlavi

dil kis ki tegh-e-naz se lazzat-chashida hai

Taskeen Dehlavi

Delhi, India

1803-1851
dil kis kī teġh-e-nāz se lazzat-chashīda hai
har zaḳhm shauq se lab-e-hasrat-gazīda hai
is garm-e-iztirāb se dil jal gayā ḳhudā
pahlū meñ mere dil hai ki barq-e-tapīda hai
chūsā dahān-e-zaḳhm ne us ko hai is tarah
paikān-e-tīr-e-yār zabān-e-makīda hai
nāseh junūñ kī baḳhiya-garī kī havas nahīñ
har tār-e-jaib ab to garebāñ-darīda hai
ġhuncha kī tarah ḳhaak rakheñ zar ko bāñdh kar
juuñ bole kal yahāñ se to jaanā jarīda hai
kuchh aaj zalzala sā zamīñ ko hai gor meñ
'taskīn'-e-be-qarār magar ārmīda hai
Top Urdushayar.com