Taskeen Dehlavi

hue the bhag ke parde mein tum nihan kyunkar

Taskeen Dehlavi

Delhi, India

1803-1851
hue the bhaag ke parde meñ tum nihāñ kyūñkar
vo pahlī vasl kī shab shoḳhiyāñ thiiñ haañ kyūñkar
falak ko dekh ke kahtā huuñ josh-e-vahshat meñ
ilāhī Thahre mirī aah kā dhuāñ kyūñkar
tumhāre kūche meñ us nā-tavāñ kā thā kyā kaam
mujhe bhī soch hai aayā huuñ maiñ yahāñ kyūñkar
zabāñ hai lazzat-e-bosa se band ai zālim
maza bharā hai jo dil meñ karūñ bayāñ kyūñkar
shab-e-visāl se shikve hazāroñ haiñ jī meñ
ilāhī band rahegī mirī zabāñ kyūñkar
Top Urdushayar.com