naam loge jo yaañ se jaane kā
aap meñ phir nahīñ maiñ aane kā
ham ko tauf-e-haram meñ yaad aayā
laḌkhaḌānā sharāb-ḳhāne kā
dam le ai chashm-e-tar ki dekhūñ maiñ
aalam us gul ke muskurāne kā
dekh sakte nahīñ vo merā haal
kyā sabab kahiye muskurāne kā
dil-e-sad-chāk kī banā sūrat
zulf par dil gayā hai shāne kā
jalva is zid se vo dikhā deñge
ham ko da.avā hai taab laane kā
sun ke vo haal kahte hai 'taskīñ'
naam bhī kuchh hai is fasāne kā