Saleem Figar

did ke badle sada dida-e-tar rakkha hai

Saleem Figar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1972
diid ke badle sadā dīda-e-tar rakkhā hai
ham ko kyuuñ rāñda-e-dargāh-e-nazar rakkhā hai
shab kī dahlīz se us samt haiñ rāheñ kaisī
parda-e-ḳhvāb meñ ye kaisā safar rakkhā hai
sāya-e-vasl-e-mohabbat kī vo ḳhalvat na sahī
ye bhī kaafī hai ḳhayāloñ meñ guzar rakkhā hai
kitne ausāf mujhe apne atā us ne kiye
zauq-e-taḳhlīq diyā mujh meñ hunar rakkhā hai
shāḳh-dar-shāḳh tirī yaad kī hariyālī hai
ham ne shādāb bahut dil kā shajar rakkhā hai
har ghaḌī mujh pe na.e aur jahāñ khulte haiñ
so bhī jā.ūñ to khulā zehn kā dar rakkhā hai
us ko qudrat hai jise jaisā bhī taḳhlīq kare
shukr hai us kā mujhe us ne bashar rakkhā hai
Top Urdushayar.com