tishna-kāmī meñ ri.āyat nahīñ karne vaale
ham amānat meñ ḳhayānat nahīñ karne vaale
raushnī ham pe ināyat nahīñ karne vaalī
ham charāġhoñ se shikāyat nahīñ karne vaale
ham se ye kār-e-musāfat nahīñ hone vaalā
zindagī terī qayādat nahīñ karne vaale
ham se ayyām kī gardish nahīñ dekhī jaatī
ḳhair ham is kī vazāhat nahīñ karne vaale
hasb-e-maqdūr hameñ ḳhaak uḌānī hai so ham
jism-e-ḳhasta kī marammat nahīñ karne vaale
phir vahī ḳhvāb vahī zid nahīñ 'āqib-sābir'
ham usūloñ se baġhāvat nahīñ karne vaale