Saleem Figar

kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae

Saleem Figar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1972
kahīñ āñkheñ kahīñ baazū kahīñ se sar nikal aa.e
añdherā phailte hī har taraf se Dar nikal aa.e
hue haiñ khokhle ham log hijrat meñ so Darte haiñ
ḳhalā ye ruuh kā aisā na ho bāhar nikal aa.e
ye lagtā hai ki pattoñ pe rakhī thiiñ muntazir āñkheñ
mire aate hī kitne phuul shāḳhoñ par nikal aa.e
na jaane khol de kab koī lamha yaad kī gaThrī
kisī kone se maazī kā hasīñ manzar nikal aa.e
mire hoñToñ pe bikhrā ye tabassum Dhaal hai merī
ki jaane kab udāsī kā kahīñ ḳhanjar nikal aa.e
gire haiñ jitne aañsū dāman-e-sahrā meñ sadiyoñ se
sulagtī ret bhī andar se shāyad tar nikal aa.e
Top Urdushayar.com