Saleem Figar

sham Dhalte hi tere dhyan mein aa jata hun

Saleem Figar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1972
shaam Dhalte hī tire dhyān meñ aa jaatā huuñ
yaad kartī ho to ik aan meñ aa jaatā huuñ
raat hai jashn mirī ruuh kī āzādī kā
sub.h phir jism ke zindān meñ aa jaatā huuñ
maiñ nahīñ kuchh bhī magar terī nazar paḌte hī
kūza-gar maiñ kisī imkān meñ aa jaatā huuñ
tujh se likkhe haiñ mire naqsh sū-e-ḳhāk yahāñ
āsmāñ se isī ehsān meñ aa jaatā huuñ
dekh kar mujh ko chamaktī haiñ nigāheñ terī
shukr hai maiñ tirī pahchān meñ aa jaatā huuñ
shaam bujhtā huā sūraj hai janāza din kā
maiñ bhī chand ashk liye lawn meñ aa jaatā huuñ
Top Urdushayar.com