ġhamoñ kī aag pe sab ḳhāl-o-ḳhad sañvāre ga.e
ye kaise karb ke aalam se ham guzāre ga.e
huā hai is liye bhī sogvār-o-nauha-kunāñ
hujūm-e-shahr meñ ham log lā ke maare ga.e
bisāt-e-vaqt pe khelī ga.ī hai jab baazī
hamīñ to khel meñ har samt rakh ke haare ga.e
vo chāñd TuuT gayā jis se raat raushan thī
chamak rahe the falak par jo sab sitāre ga.e
jahāñ jahāñ se bhī guzre hujūm-e-mātam meñ
shagufta phuul se chehre qazā pe vaare ga.e
'figār' aag kahāñ ab dhuāñ bhī mushkil hai
vo shab ko os paḌī hai ki sab sharāre ga.e