chamaktī os kī sūrat guloñ kī aarzū honā
kisī kī soch meñ rahnā kisī kī justujū honā
vo patthar hai pighalne meñ zarā sā vaqt to legā
abhī mumkin nahīñ hai us se koī guftugū honā
use meñ dekhtā jā.ūñ kahāñ ye baat āñkhoñ meñ
nahīñ āsān sūraj ke musalsal rū-ba-rū honā
use aatā hai lamhoñ meñ bhī apne aks ko bharnā
na honā paas lekin phir bhī mere chaar sū honā
tumhārī yaad kī bārish barastī hai mire dil par
mirī āñkhoñ ko aatā hī nahīñ hai be-vazū honā
lahū meñ bo gayā hai qatra qatra saiñkḌoñ kāñTe
harī rut meñ bhī mere sehn-e-gul kā be-numū honā