ḳhushbū sā koī din to sitārā sī koī shaam
bhejo to kabhī nuur kā dhārā sī koī shaam
poroñ se nikal kar ye kahāñ jaatī hai jaane
aatī hī nahīñ haath meñ paarā sī koī shaam
yādoñ kī havāoñ meñ baḌā zor thā shāyad
hai bikhrī paḌī paañv meñ gaarā sī koī shaam
rahtī hai mire kamre meñ kui tiira udāsī
ai sho.ala badan bhej sharāra sī koī shaam
is din ke samundar meñ jo shal hote haiñ baazū
aflāk se aatī hai kinārā sī koī shaam
ham roz hī dafnāte haiñ bujhtā huā sūraj
phir DhūñDne jaate haiñ sahārā sī koī shaam