kho diye haiñ chāñd kitne ik sitārā maañg kar
mutma.in haiñ kis qadar phir bhī ḳhasāra maañg kar
mauj ke hamrāh thā to saarā dariyā saath thā
ho gayā ġharqāb lahroñ se kinārā maañg kar
raakh meñ ab DhūñDhtā huuñ maiñ dar-o-dīvār ko
ghar diyā hai aag ko maiñ ne sharāra maañg kar
terī marzī ho to bhar kashkol-e-dil ḳhālī mirā
maiñ nahīñ lūñgā tujhe tujh se dobāra maañg kar
apne paañv par chalūñgā maiñ apāhij to nahīñ
rāste kaTte nahīñ haiñ yuuñ sahārā maañg kar
ḳhvāb kī miTTī ko gūñdhūñgā lahū se maiñ 'figār'
ghar banānā hī nahīñ dhartī se gaarā maañg kar