sahme nahīf dariyā ke dhāre kī baat kar
ab dasht-e-be-karāñ ke kināre kī baat kar
duniyā ke mas.aloñ meñ mujhe bhī sharīk rakh
mere darīda dil ke bhī chāre kī baat kar
rahne de zikr-e-sūd kisī aur vaqt par
rāh-e-vafā meñ mere ḳhasāre kī baat kar
me.aar ke na mujh ko kam-o-besh meñ parakh
tujh ko agar qubūl huuñ saare kī baat kar
ham boriyā-nashīn tire shaah bhī to haiñ
yā lauT jā yā saath guzāre kī baat kar
ab āsmān saarā mirī dastaras meñ hai
uñglī uThā kisī bhī sitāre kī baat kar