ik pal meñ kyā kuchh badal gayā jab be-ḳhabroñ ko ḳhabar huī
maiñ tanhā.ī meñ chhupā rahā jab mujh par us kī nazar huī
ik chāñd chamak kar chalā gayā phir kitnī ghaḌiyāñ guzar ga.iiñ
mujh ko to kuchh bhī ḳhabar na thī kab raat huī kab sahar huī
thī husn kī chhab ik ajab adā jab phuul sā chehra mahak uThā
vo manzar mujh ko jachā bahut phir umr usī meñ basar huī
aanā bhī terā ġhazab huā is shahr kā manzar badal gayā
bhauñchāl sā aayā galī galī har chiiz idhar se udhar huī
ye rog lagā hai ajab hameñ jo jaan bhī le kar Talā nahīñ
har ek davā be-asar ga.ī har ek duā be-asar huī