lagā ho dil to ḳhayālāt kab badalte haiñ
ye inqalāb to ik be-dilī meñ palte haiñ
nikal chuke haiñ bahut duur qāfile vaale
hameñ ḳhabar nahīñ ham kis ke saath chalte haiñ
kabhī hameñ bhī milāo to aise logoñ se
ki jin kī aañkh meñ ab tak charāġh jalte haiñ
ye raat aisī havā.eñ kahāñ se laatī hai
ki ḳhvāb phūlte haiñ aur zaḳhm phalte haiñ
rutoñ ne apne qarīne badal liye lekin
hamāre taur vahī haiñ nahīñ badalte haiñ
ab e'tibār pe jī chāhtā to hai lekin
purāne ḳhauf diloñ se kahāñ nikalte haiñ