ḳhushī hai apnī na koī malāl hai apnā
vo be-dilī hai ki jiinā muhāl hai apnā
na vo visāl ke qisse na hijr kā ronā
baḌā ajiib sā kuchh din se haal hai apnā
nigāh-e-shauq kī is ko abhī kahāñ parvā
abhī vo shaḳhs asīr-e-jamāl hai apnā
mirī tarah bhī koī zabt-e-ġham se kaam na le
ki apne-āp se poshīda haal hai apnā
ham aise sāhab-e-fan aur ye shahr-e-nā-pursāñ
agar haiñ zinda to ye bhī kamāl hai apnā
jo vo nahīñ na sahī yaad hī sahī us kī
koī to hai jise 'ḳhāvar' ḳhayāl hai apnā