paas se yuuñ āñchal lahrāte log guzarte rahte haiñ
mere badan meñ qaus-e-quzah ke rañg utarte rahte haiñ
apne andar chhupe hue dushman kā hai ehsās jinheñ
merī tarah vo log bhī apne aap se Darte rahte haiñ
ham ne dekhnā chhoḌ diye haiñ ik muddat se aise ḳhvāb
ta.abīroñ kī chāhat meñ jo ḳhvāb ki marte rahte haiñ
raah meñ chāhe dhuup kaḌī ho yā saa.e bāheñ phailā.eñ
jin kā kaam guzarnā hai vo log guzarte rahte haiñ
laakh shanāsā ho par ḳhushbū kis ko dikhā.ī detī hai
ek hamīñ haiñ der talak aaheñ jo bharte rahte haiñ
vāsta paḌtā hī rahtā hai tez havāoñ se apnā
ham be-ghar logoñ ke aksar jism bikharte rahte haiñ
sub.h-savere ghar se 'ḳhāvar' nikle ho phir dhyān rahe
kālī-rāt ke lamhe din kā ruup bhī dharte rahte haiñ