vo lamha mere liye kis qadar azaab kā thā
haqīqatoñ pe gumāñ jab ḳhayāl-o-ḳhvāb kā thā
tamām-umr ham apnī anā meñ mast rahe
vo nashsha sab se alag thā jo is sharāb meñ thā
kahāñ ga.e mire mausam vo ārzūoñ ke
kahāñ gayā jo zamāna mire shabāb kā thā
miTā diye the sabhī harf ġham kī bārish ne
ajiib haal mirī ziist kī kitāb kā thā
jalā na thā mire ghar meñ koī diyā jab tak
kahāñ ye rañg havāoñ ke pech-o-tāb kā thā
hue buland kuchh itne ki hosh hī na rahā
vo thā zamīn kā manzar ki māhtāb kā thā
uḌī hai aaj bahut ḳhaak us jagah 'ḳhāvar'
harā-bharā koī paudā jahāñ gulāb kā thā