ḳhayāl meñ hai jo chehra nazar bhī aa.egā
vo apne ghar se kabhī mere ghar bhī aa.egā
bichhaḌte vaqt kā manzar bhī dhyān meñ rakhnā
safar meñ kaam ye raḳht-e-safar bhī aa.egā
nikal to aa.e haiñ zindān-e-tīrgī se magar
ye sochte haiñ hameñ kuchh nazar bhī aa.egā
sabhī na ghar ke darīchoñ se bach ke guzreñge
havā kā koī to jhoñkā idhar bhī aa.egā
malāl sāya-e-dīvār-o-dar abhī se kyā
ye marhala to sar-e-rahguzar bhī aa.egā
mirī navā to kabhī rā.egāñ nahīñ jaatī
agar vo ghar meñ huā baam par bhī aa.egā
kise gumān thā 'ḳhāvar' vahāñ kī miTTī meñ
yahāñ kī āb-o-havā kā asar bhī aa.egā