Rahman Khawar

main jab pahle-pahal is shahr-e-na-pursan mein aaya tha

Rahman Khawar

maiñ jab pahle-pahal is shahr-e-nā-pursāñ meñ aayā thā
sabhī apne nazar aate the lekin kaun apnā thā
hasīñ the duur hī se sāhil-o-dariyā ke nazzāre
magar jab Duub kar dekhā to sāhil thā na dariyā thā
use in fāsloñ kā kuchh na kuchh ehsās to hogā
kabhī jis shaḳhs ke siine meñ merā dil dhaḌaktā thā
simaT aayā ho jaise dard merā us ke lahje meñ
na jaane aaj kis aalam meñ us ne haal pūchhā thā
kahāñ tak dil meñ shahr-e-ārzū ābād rakhte ham
jab apne sāmne hadd-e-nazar tak ġham kā sahrā thā
jahāñ-bhar ko ḳhabar kaise huī tark-e-ta.alluq kī
mujhe tum se ta.alluq thā jahāñ se vāsta kyā thā
Top Urdushayar.com