ham pe vo mehrbāñ ziyāda hai
is yaqīñ meñ gumāñ ziyāda hai
kuchh kamī hai to kārvāñ meñ yahī
rahbar-e-kārvāñ ziyāda hai
hai to vaa.iz ḳhudā-parast magar
lab pe zikr-e-butāñ ziyāda hai
peshtar bhī yahī qafas thā magar
ab ke shor-e-fuġhāñ ziyāda hai
zulm kī ḳhair ho ki azm-e-javāñ
aur bhī ab javāñ ziyāda hai
allāh allāh bazm-e-nau ke charāġh
raushnī kam dhuāñ ziyāda hai
kam na jaano kisī ko tum 'ḳhāvar'
jo jahāñ hai vahāñ ziyāda hai