ġhamoñ se hijr ke kuchh aise bad-havās rahe
vo mil ga.e bhī to ham der tak udaas rahe
ye anjuman to sitam ko sitam hī samjhegī
tirā karam ki hamīñ-ham adā-shanās rahe
vo chāk-dāmanī-e-gul kā raaz kyā jāneñ
bharī bahār meñ jo ḳhaar be-libās rahe
junūñ hai ek jasārat junūñ hai ek tarañg
ḳhirad nahīñ ki asīr-e-umīd-o-yās rahe
na TūTnā thā na TuuTā ġhurūr-e-gumrāhī
pahuñch ga.e bhī to manzil ke ās-pās rahe
nigāh tak to uThā dī kisī ne jaam ke saath
jo phir bhī rahtī hai 'ḳhāvar' to apnī pyaas rahe