Rahman Khawar

tegh-e-sitam kabhi hai to sang-e-jafa kabhi

Rahman Khawar

teġh-e-sitam kabhī hai to sañg-e-jafā kabhī
ya.anī nasīb-e-ishq vahī hai jo thā kabhī
saayā na thā ki saath mirā chhoḌtā kabhī
ab bhī vo saath hai jo mire saath thā kabhī
aksar to ḳhushk hī mirī āñkheñ rahīñ magar
yuuñ bhī havā diye se diyā jal uThā kabhī
kuchh kuchh to ibtidā-e-asīrī meñ thā karam
phir haal pūchhne bhī na aa.ī sabā kabhī
har phuul kī mahak hai chaman meñ junūñ-asar
shāyad isī jagah koī sahrā bhī thā kabhī
vo log bhī haiñ sañg-ba-kaf jin se aaj tak
pūchhā na ham ne terī galī kā pata kabhī
Top Urdushayar.com