vo kam-yaqīñ jo savād-e-gumāñ bhī rahtā hai
tamām-umr kisī imtihāñ meñ rahtā hai
ye rūh-o-jism kā rishta bhī ḳhuub rishta hai
ki jaise koī parā.e makāñ meñ rahtā hai
jo tū nahīñ mire hamrāh terī yaad sahī
koī to saath mire dasht-e-jāñ meñ rahtā hai
khulā ye chāñdnī shab meñ ki ek saaya sā
nadī ke paar shikasta-makāñ meñ rahtā hai
na us meñ rañg-e-vafā kā na ishq kī ḳhushbū
ḳhabar nahīñ vo abhī kis jahāñ meñ rahtā hai
rahe zabāñ pe koī dastān-e-hijr-o-visāl
vo ek shaḳhs hī lafz-o-bayāñ meñ rahtā hai
mire dukhoñ kī jise kuchh ḳhabar nahīñ 'ḳhāvar'
mire makāñ ke barābar makāñ meñ rahtā hai