siine meñ ik shor machā hai
sannāTā kitnā gahrā hai
aaj bahut kam phuul khile haiñ
shāyad mausam badal rahā hai
sahrā se bāhar niklūñ to
har rasta ghar kā rasta hai
vo kyā bichhḌā maiñ ne sab se
milnā-julnā chhoḌ diyā hai
ghar ke andar habs hai kitnā
bāhar kitnī tez havā hai
saḌkoñ par ik bhiiḌ hai 'ḳhāvar'
saarā shahr magar tanhā hai