apne pahlū meñ chhupā.e hue patthar niklā
ye tirā shahr bhī tujh sā hī sitamgar niklā
thī jo mahfūz mire saath mirī ḳhāk-e-badan
le uḌī tez havā ghar se jo bāhar niklā
sab kī goyā.ī pe haavī thī mirī ḳhāmoshī
kaun mujh sā tirī mahfil meñ suḳhnavar niklā
shahr meñ phailā huā ḳhauf-e-shanāsā.ī thā
ghar se har shaḳhs nayā ruup badal kar niklā
kis taraf jāoge ab pyaas bujhāne logo
dasht-e-be-āb se aage to samundar niklā
ban ga.ī paañv kī zanjīr dar-o-bām kī yaad
ḳhud mirī raah kī dīvār mirā ghar niklā
kī mohabbat bhī to ik dushman-e-jāñ se 'ḳhāvar'
apnā dushman na koī tere barābar niklā