Rahman Khawar

wo apne ishq mein kaisa kamal rakhta hai

Rahman Khawar

vo apne ishq meñ kaisā kamāl rakhtā hai
ki be-ruḳhī meñ bhī merā ḳhayāl rakhtā hai
jo aaj merā nahīñ hai vo kal mirā hogā
ki har zamāna urūj-o-zavāl rakhtā hai
ajab nahīñ vo jahāñ-bhar ko bevafā samjhe
nazar meñ merī vafā kī misāl rakhtā hai
kahāñ talak koī dast-e-karam ko zahmat de
tamām-shahr hī dast-e-savāl rakhtā hai
mirī uḌaan ke aage hai kis qadar bebas
ye āsmāñ jo sitāroñ kā jaal rakhtā hai
tirā ḳhayāl hī kuchh mehrbān hai varna
jahāñ maiñ kaun kisī kā ḳhayāl rakhtā hai
muqābil-e-saf-e-a.adā hai is tarah 'ḳhāvar'
ki teġh rakhtā hai vo aur na Dhaal rakhtā hai
Top Urdushayar.com