Rahman Khawar

shikayaten na zamin se na aasman se hain

Rahman Khawar

shikāyateñ na zamīñ se na āsmān se haiñ
ki ek umr se ham log be-zabān se haiñ
na ho jo shahar kī mānind būd-o-bāsh nahīñ
yahī bahut hai ki sahrā meñ ham amaan se haiñ
mirī tarah hadaf-e-ahd be-yaqīnī haiñ
ḳhud apne-āp se jo log bad-gumān se haiñ
ajiib haiñ tire kūche meñ basne vaale bhī
zamīñ pe rahte haiñ vābasta āsmān se haiñ
visāl-o-hijr kī ye tohmateñ saheñ kab tak
ham ahl-e-ishq ki bezār apnī jaan se haiñ
ye mo.ajiza bhī ajab hai tire ta.alluq kā
jo log dushman-e-jāñ the vo mehrbān se haiñ
sulūk-e-ahl-e-jahāñ dil pe naqsh hai 'ḳhāvar'
jahāñ the zaḳhm vahāñ aaj bhī nishān se haiñ
Top Urdushayar.com