zaḳhm to bahut aa.e phir bhī hausla rakkhā
umr-bhar mohabbat meñ ham ne dil baḌā rakkhā
jis ne ek lamha bhī tujh se vāsta rakkhā
apne-āp ko ḳhud se umr-bhar judā rakkhā
barg-e-ḳhushk kī sūrat log ho ke āvāra
sochte haiñ sarsar kā naam kyuuñ sabā rakkhā
jab use na aanā thā phir ye kis tavaqqo.a par
ham ne ghar kā darvāza rāt-bhar khulā rakkhā
dil ġham-e-zamāna kī dastaras meñ kyā aatā
pattharoñ kī zad par ḳhud ham ne aa.ina rakkhā
ishq ko salīqe se kuchh hamīñ ne bartā hai
varna qurbatoñ meñ yuuñ kis ne fāsla rakkhā
yaad kar ke ro.egā tū sulūk ġhairoñ kā
tū ne 'ḳhāvar' apnoñ se kuchh jo vāsta rakkhā