Rahman Khawar

zamin-o-asman sab ek se hain

Rahman Khawar

zamīn-o-āsmāñ sab ek se haiñ
hamāre mehrbāñ sab ek se haiñ
kise apnā kahīñ kis ko parāyā
jahāñ ham haiñ vahāñ sab ek se haiñ
jahāñ vāloñ ke zāhir par na jaao
ye bātin meñ miyāñ sab ek se haiñ
nahīñ kuchh farq tujh meñ aur mujh meñ
ki ham ahl-e-jahāñ sab ek se haiñ
na kyuuñ sābit ho jurm-e-be-gunāhī
gavāhoñ ke bayāñ sab ek se haiñ
vahī guzrā hai dil kī rahguzar se
ki qadmoñ ke nishāñ sab ek se haiñ
yahāñ ke rahne vaale muḳhtalif haiñ
magar 'ḳhāvar' makāñ sab ek se haiñ
Top Urdushayar.com