marhale to ziist ke tai kar liye
paañv lekin ābloñ se bhar liye
ghar se bāhar raushnī thī muntazir
kaise kaise ḳhushnumā manzar liye
aur kyā dekheñ ki vahshat ke sabab
phuul dekhe haath meñ patthar liye
dasht se ghar lauT ke pachhtā.e ham
ghar bhī niklā dasht kā manzar liye
siikh duniyā se takallum kā hunar
ek fiqra saikḌoñ nashtar liye
ab zarā tum bhī ḳhudā ban kar dikhāo
pattharo ham ne to sajde kar liye
naqsh hai 'ḳhāvar' usī kā shāhkār
ulTe-sīdhe rañg jis ne bhar liye