tire baġhair ajab bām-o-dar kā aalam hai
kahāñ vo dasht kā hogā jo ghar kā aalam hai
paḌe gharoñ pe ye uftād kyā ki logoñ ke
qayām se bhī numāyāñ safar kā aalam hai
jo dekhte haiñ vo tahrīr kar nahīñ sakte
ye mere shahr ke ahl-e-hunar kā aalam hai
zarā jo chhāñv meñ baiTho to jism jal jaa.e
ye sāya-dār hai ye is shajar kā aalam hai
sukūt sā hai udhar bhī idhar bhī sannāTā
jo manziloñ kā vahī rahguzar kā aalam hai
mire aur us ke sitāre ab ek haiñ 'ḳhāvar'
jo kal idhar thā vahī ab udhar kā aalam hai