har manzil meñ har raste meñ sach apne kaam aayā hai
ham ne jhūTe logoñ ko aksar ghar tak pahuñchāyā hai
va.ada-shikan vo laakh sahī par mujh ko hairāñ karne ko
kabhī kabhī to mujh se milne va.ade par bhī aayā hai
chashm-e-tamāshā bhī sharminda hairat meñ ā.īne bhī
vaqt kī dhuup ne kaisā kaisā chehroñ ko jhulsāyā hai
vo jo diyā raushan hī nahīñ hai us ke liye rahmat kaisī
kyuuñ ye tez havā kā jhoñkā ghar meñ mire dar aayā hai
ham bhī ab se ba-qaul-e-'hālī' duniyā ko jhuTlāeñge
aaj talak is duniyā ne ham sachchoñ ko jhuThlāyā hai
kis ḳhāmoshī se palTī hai 'ḳhāvar' vo mauj-e-dariyā
jis mauj-e-dariyā ne mujh ko sāhil par pahuñchāyā hai