jab nazar jā na sake hadd-e-nazar se aage
kaun soche ki hai kuchh aur bhī ghar se aage
manzil-e-ishq meñ ham ko koī aisā na milā
jis kī manzil ho tirī rāhguzar se aage
jab talak saa.e meñ baiThe ho ġhanīmat jaano
duur tak dhuup kā sahrā hai shajar se aage
jo tire dar se uThe haiñ unheñ ma.alūm kahāñ
kūcha-e-dar-ba-darī hai tire dar se aage
manzileñ muntazir-e-chashm-e-tamāshā hī raheñ
qāfile jā na sake gard-e-safar se aage
'ḳhāvar' is shahr meñ ham ahl-e-hunar par ye khulā
ek shai be-hunarī bhī hai hunar se aage