Rahman Khawar

mile hain harf bas itne mujhe bayan ke liye

Rahman Khawar

mile haiñ harf bas itne mujhe bayāñ ke liye
galī kī raushnī jaise kisī makāñ ke liye
chalo ki chal ke kisī dasht ko kareñ ābād
fazā-e-shahr to qātil hai jism-o-jāñ ke liye
hamāre dar kī sabhī dastakeñ rahīñ mahfūz
tamām-umr kisī dast-e-mehrbāñ ke liye
sabhī ko merī tarah ishq kā nahīñ idrāk
samundaroñ kā safar hai jahāz-rāñ ke liye
havā-e-bahr had-e-bahr se nikal na sakī
kabhī uThā jo koī abr shahr-e-jāñ ke liye
ajiib baat makīnoñ ko kuchh ḳhabar na huī
galī meñ boliyāñ lagtī rahīñ makāñ ke liye
usī jahāñ kī mohabbat meñ mar ga.e 'ḳhāvar'
kiyā na kaam koī tum ne is jahāñ ke liye
Top Urdushayar.com