raah kī dhuup se mafar hī nahīñ
ham jahāñ haiñ vahāñ shajar hī nahīñ
yā to mujh meñ koī hunar hī nahīñ
yā koī sāhib-e-nazar hī nahīñ
huuñ ye kis tīrgī ke zindāñ meñ
raushnī kā jahāñ guzar hī nahīñ
koī Duube koī sadā ubhre
shor-e-dariyā pe kuchh asar hī nahīñ
ḳhushk patte uḌā rahī hai havā
ab koī phuul shāḳh par hī nahīñ
guftugū zaḳhm bhī hai marham bhī
lafz shabnam bhī haiñ sharar hī nahīñ
kyā kisī se ham ustuvār kareñ
rishta-e-jāñ ki mo'atabar hī nahīñ