Rahman Khawar

kya kya guman na the mujhe apni uDan par

Rahman Khawar

kyā kyā gumāñ na the mujhe apnī uḌaan par
baazū jo shal hue to girā huuñ chaTān par
ḳhuddāriyoñ se kaun ye pūchhe ki aaj tak
kitne azaab ham ne liye apnī jaan par
ab ke na jaane rut ko nazar kis kī khā ga.ī
ik baar bhī paḌī na dhanak āsmān par
kashtī meñ so ga.e jo unheñ ye ḳhabar kahāñ
kitnā hai aaj zor-e-havā bādbān par
ḳhush-fahmiyoñ ke daur se pahle jo thī kabhī
vo bartarī kahāñ hai yaqīñ ko gumān par
ik be-karāñ ḳhalā hai nigāhoñ meñ har taraf
ya.anī zamīn par haiñ na ham āsmān par
'ḳhāvar' bhī zindagī se nabard-āzmā huā
kyā shaḳhs thā jo khel gayā apnī jaan par
Top Urdushayar.com