Rahman Khawar

muhaal tha ki ye tufan-e-rang-o-bu aae

Rahman Khawar

muhāl thā ki ye tūfān-e-rañg-o-bū aa.e
agar bahār tirā pairahan na chhū aa.e
bayān-e-dard aur is anjuman meñ dīvāno
kahāñ Dubo ke mohabbat kī aabrū aa.e
ye uñgliyāñ ki ab ik jaam ko tarastī haiñ
kabhī unhīñ se sitāroñ kī nabz chhū aa.e
na is qadar bhī takalluf se kaam lo ki sharāb
jo aa.e bhī to nazar ḳhūn-e-ārzū aa.e
hamārā pī ke bahaknā bhī kaam kā niklā
ki mai-kade meñ na.e sāġhar-o-subū aa.e
vo aa.ine the jo hairān ho ga.e 'ḳhāvar'
jamāl-e-dost hamāre tū rū-ba-rū aa.e
Top Urdushayar.com