idhar bhī aa.eñ kabhī dhuup ke satā.e hue
shajar khaḌe haiñ sar-e-rāh sar jhukā.e hue
kuchh aur baat karo gardish-e-jahāñ ke sivā
na vāqi.āt sunāo sune-sunā.e hue
zamīñ pe Dher kiye dopahar ke sūraj ne
tamām phuul shab-e-māh ke khilā.e hue
dhuāñ dhuāñ haiñ vo chehre bhī ab na jaane kyuuñ
mire liye the kabhī jin pe rañg aa.e hue
kuchh aur ho ki na ho zād-e-rāh manzil-e-shab
sahar ke ḳhvāb to āñkhoñ meñ haiñ sajā.e hue
khulī fazā se koī vāsta na thā jab tak
ham apne-āp meñ ḳhud ko rahe chhupā.e hue
havā kī zad pe jab aa.e to bujh ga.e 'ḳhāvar'
vo sab charāġh jo mere na the jalā.e hue