Rahman Khawar

nazar mein apni kabhi is qadar bura to na tha

Rahman Khawar

nazar meñ apnī kabhī is qadar burā to na thā
maiñ apne-āp se pahle gurez-pā to na thā
ye kyā kiyā use taqdīr sauñp dī apnī
mirī tarah vo ik insān thā ḳhudā to na thā
guzar gayā jo barābar se muñh chhupā.e hue
ye sochtā huuñ kahīñ koī āshnā to na thā
kise qubūl thā zindān-e-āb-o-gil lekin
ab aur us ke sivā koī rāsta to na thā
jamī thiiñ mujh pe nigāheñ jo ik zamāne kī
mujhe vo muḌ ke sar-e-rāh dekhtā to na thā
tamām-umr rahī jis kī justujū 'ḳhāvar'
kahīñ vo shaḳhs mujhī meñ chhupā huā to na thā
Top Urdushayar.com