Rahman Khawar

kya ye dekhen ki koi aur tamasha kya hai

Rahman Khawar

kyā ye dekheñ ki koī aur tamāshā kyā hai

ham ko ḳhud apne alāva nazar aatā kyā hai

ba.az dariyāoñ ke manzar bhī ajab hote haiñ

aadmī sochtā rah jaa.e ki sahrā kyā hai

vo to achchhā hai ki ham ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ

varna in tez havāoñ bharosa kyā hai

bujh ga.e haiñ jo diye phir se jalā.eñ ki nahīñ

koī batlāo hameñ rañg havā kyā hai

ho mulāqāt aur ehsās-e-mulāqāt na ho

terā milnā jo yahī hai to bichhaḌnā kyā hai

dasht ke dhuup ne ham ko ye batāyā 'ḳhāvar'

apne ghar ke dar-o-dīvār saaya kyā hai

Top Urdushayar.com