shab guzar kar bhī añdherā kam nahīñ
us kī zulfeñ to kahīñ barham nahīñ
ġhair ban kar jab ga.e is bazm meñ
ham ne dekhā ham se vo barham nahīñ
haiñ nazar meñ uljhaneñ bhī ziist kī
varna in zulfoñ meñ itne ḳham nahīñ
pāsbān-e-gulistāñ bante haiñ aur
imtiyāz-e-sho.ala-o-shabnam nahīñ
aaj bhī pyāse rahe to dekhnā
bazm meñ saaqī nahīñ bāham nahīñ
ham se 'ḳhāvar' laakh vo barham sahī
bad-gumāñ ham bhī magar kuchh kam nahīñ