hai bāġh-e-tamannā kī bahār apnī jagah ḳhuub
gul apnī jagah ḳhuub haiñ ḳhaar apnī jagah ḳhuub
ye ḳhema-zanī raah meñ apnī jagah achchhī
uThtā huā manzil pe ġhubār apnī jagah ḳhuub
ham jitne talabgār vo utnā hī gurezāñ
ham apnī jagah ḳhuub haiñ yaar apnī jagah ḳhuub
kam apnī jagah dasht-e-masāfat meñ nahīñ hai
maanā ki haiñ ye shahr-o-dayār apnī jagah ḳhuub
mil jaa.e jo qaid-e-ġham-e-duniyā se rihā.ī
phir to hai tire ġham kā hisār apnī jagah ḳhuub
phir ek bhī pal arsa-e-mahshar se nahīñ kam
kuchh der sitāroñ kā shumār apnī jagah ḳhuub
be-sabrī-e-hijrāñ meñ bhī ik baat hai 'ḳhāvar'
har-chand ki haiñ sabr-o-qarār apnī jagah ḳhuub