shaam guzrī hai abhī ġham kī sahar baaqī hai
ik safar ḳhatm huā ek safar baaqī hai
kis tarah ghar meñ kahūñ apne shikasta-ghar ko
koī dīvār salāmat hai na dar baaqī hai
zard aatā hai nazar ḳhauf-e-ḳhizāñ se vo bhī
ek pattā jo sar-e-shāḳh-e-shajar baaqī hai
ab jalā.eñ bhī dobāra to vo shāyad na jaleñ
jin charāġhoñ pe havāoñ kā asar baaqī hai
kyuuñ rahe tishna-e-ḳhūñ vo bhī hamāre hote
tere tarkash meñ koī tiir agar baaqī hai
ḳhatm hote hī maiñ aatī nahīñ rāh-e-manzil
umr-bhar chalte rahe phir bhī safar baaqī hai
dasht kī ḳhaak huā jism to kab kā 'ḳhāvar'
shahr meñ ab bhī mirā naam magar baaqī hai