ye kyā ki baiTh ga.e gard-e-rahguzar kī tarah
safar tamām karo dosto safar kī tarah
ruke jo raah meñ un par na-jāne kyā guzrī
hamīñ to dhuup hai ab sāya-e-shajar kī tarah
fazā fazā jo pareshāñ haiñ abr kī sūrat
sadaf sadaf vo mileñge kabhī guhar kī tarah
ġham-e-jahāñ kī tapish se sulag rahe haiñ badan
hayāt bhī hai kisī dasht ke safar kī tarah
kabhī to aa ki ho raushan charāġh-e-shām-e-visāl
mirā bhī ghar nazar aa.e kabhī to ghar kī tarah