Rahman Khawar

adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho

Rahman Khawar

adab-navāz to ho koī fan-shanās to ho
hameñ bhī shahr meñ jiine kī koī aas to ho
ye kyā ki maiñ hī sahe jā.ūñ rañj-e-tanhā.ī
mirī tarah kabhī us kā jī udaas to ho
chale to kaise chale silsila mohabbat kā
vo be-ruḳhī hī sahī kuchh na kuchh asaas to ho
ye aarzū hai kabhī maiñ bhī khiḌkiyāñ kholūñ
magar galī kī havā mere ghar ko raas to ho
lahū lahū hai badan phir bhī zindagī ke liye
mire laboñ pe koī harf-e-nā-sipās to ho
is iltifāt ko maiñ kaise be-ruḳhī samjhūñ
nazar se duur sahī dil ke aas paas to ho
ye us ke aate hī kyuuñ chup sī lag ga.ī 'ḳhāvar'
vo sāmne hai to kuchh us se iltimās to ho
Top Urdushayar.com