bujhā bhī ho to ujālā mirī nazar meñ rahe
koī charāġh to aisā bhī mere ghar meñ rahe
banā banā ke bigāḌā gayā hameñ aksar
misāl-e-kūza kisī dast-e-kūza-gar meñ rahe
hisār-e-ishq se bāhar nikal sake na kabhī
ki ham bichhaḌ ke bhī tujh se tire asar meñ rahe
rah-e-safar meñ sar-e-shām ham Thahar to ga.e
magar kuchh aise ki jaise koī safar meñ rahe
firāq-e-yār hī taqdīr ho to kyā kiije
visāl-e-yār kā saudā hazār sar meñ rahe
nigāh ḳhuub sahī dūsroñ ke aiboñ par
magar ḳhud apnā garebān bhī nazar meñ rahe
na ho ḳhushī kā gumāñ aise ġham pe kyuuñ 'ḳhāvar'
jo ġham ḳhushī kī tarah qalb-e-mo'atabar meñ rahe