suunā suunā āñgan hai aur bām-o-dar ḳhāmosh
kis se guftugū kiije ho jo ghar kā ghar ḳhāmosh
sham.a kī tarah koī ġham-gusār kyā hogā
saath saath chaltī hai raat raat bhar ḳhāmosh
kuchh to maslahat hogī jo zabāñ nahīñ khultī
varna terī mahfil meñ ham aur is qadar ḳhāmosh
hai sukūt kā aalam kā.enāt par taarī
jab se ham idhar chup haiñ aur vo udhar ḳhāmosh
shahr-e-dil pe chhā.e haiñ dasht-e-ġham ke sannāTe
kitnī ārzūeñ haiñ sab kī sab magar ḳhāmosh
kārvāñ ko luuTā hai kis ne ye batā.e kaun
chashm-e-rāhzan hairāñ dast-e-rāhbar ḳhāmosh
jaur-hā-e-yārāñ ke silsile na baḌh jaa.eñ
aur bhī rahe 'ḳhāvar' tum yūñhī agar ḳhāmosh