Iftikhar Ahmad Fakhr

qurban jaun husn-e-qamar intisab ke

Iftikhar Ahmad Fakhr

qurbān jā.ūñ husn-e-qamar intisāb ke
aariz haiñ yā haiñ phuul shagufta gulāb ke
ab din kahāñ rahe vo hamāre sabāt ke
ik dhuup thī jo saath ga.ī āftāb ke
har ik adā meñ us kī hai qaus-e-quzah kā rañg
hai guftugū meñ kitne havāle kitāb ke
hālāt ne jhiñjhoḌ ke hoshiyār to kiyā
jaage hue haiñ phir bhī to āsār ḳhvāb ke
phailā chuke haiñ firqa-parastī kā zahr vo
aa.e haiñ sāmne jo adad intiḳhāb ke
golī se hal na hoñge mohabbat se hoñge hal
qaziye hoñ kāshmīr ke yā pañj-āb ke
niklī saroñ kī fasl hai gobhī ke khet se
khilte jahāñ ye phuul the kal tak gulāb ke
pīr-e-muġhāñ se 'faḳhr' yahī ik savāl hai
auñdhe haiñ aaj jām-o-subū kyuuñ sharāb ke
Top Urdushayar.com