sun sun ke chup haiñ ta.ana-e-aġhyār kyā kareñ
majbūr haiñ vafā ke parastār kyā kareñ
ro.eñ lahū na dīda-e-ḳhūñ-bār kyā kareñ
majrūh jab ho ishq kā pindār kyā kareñ
iz.hār-e-haq ke vāste mansūr ab kahāñ
bātil-parast hausla-e-dār kyā kareñ
ho jaa.e shash-jihat na kahīñ ye dhuāñ dhuāñ
josh-e-junūñ meñ āh-e-sharar-bār kyā kareñ
saaqī ye tishnagī sar-e-mai-ḳhāna tā-ba-kai
jām-o-subū na toḌeñ to mai-ḳhvār kyā kareñ
jab āstīn-e-shaiḳh-e-haram ġharq-e-bāda ho
log ehtirām-e-jubba-o-dastār kyā kareñ
ham 'faḳhr' sarkashoñ ke na aage kabhī jhuke
rakhte haiñ ik tabī.at-e-ḳhuddār kyā kareñ