Purshottam Abbi Azer

humne to kaT li hai saza aap KHush rahen

Purshottam Abbi Azer

Bijnor, Uttar pradesh, India

1956
ham ne to kaaT lī hai sazā aap ḳhush raheñ
mahfūz tum ko rakkhe ḳhudā aap ḳhush raheñ
do-pal mile ḳhushī ke haiñ un ko sañvār leñ
kal kī ḳhabar hai kis ko patā aap ḳhush raheñ
paayā sukūn ham ne thā bāñhoñ meñ aap kī
phir se nasīb hogā vo kyā aap ḳhush raheñ
sāmān apnā bāñdh ke tum uTh ke chal diye
chāroñ taraf hai bahkī havā aap ḳhush raheñ
chāhe tamām zaḳhm do yā do hameñ davā
hai aarzū ye dil ki sadā aap ḳhush raheñ
mahsūs ho rahī haiñ baḌhī dil kī dhaḌkaneñ
antim paḌāv ho na mirā aap ḳhush raheñ
'āzar' zarā sī baat ko yuuñ tuul tum na do
ġhussa nahīñ hai us kī davā aap ḳhush raheñ
Top Urdushayar.com